Dama Asthma Ka ilaj in urdu
Saans pholna aik allergy ki kefiyat hoti hai. is ko Dama Asthma Ka ilaj kehty hain. Jo jism mein kisi aik ya ziyada awamil ke raddeamal ke natije mein peyda hoti hai. Saans ki bemariyon mein yeh sab se ziyada takleefdey hai. Dama (Asthma) ke patient ko saans na aane ke attack parhte hain. Ise saans lene mein diqqat hoti hai, lekin in attacks ke khatme par wo normal andaz mein hota hai.
Asthma Symptoms and Causes
Dama (Asthma) mein mubtila patient saans lene ke liye hanpta hua dikhai deta hai. Darasal use saans lene ke bajae saans kharij karne mein mushkil mehsoos hoti hai aur yeh kefiyat lungs mein hawa ke chote chote raaston ke achanak sukhar jane par peyda hoti hai. Natija yeh hota hai ke mareez ko lungs oper ki taraf khinchne parhte hain. Kyun ke wo abhi thek tarah saans kharij nahi kar pata ke ise aik aur saans lena parh jata hai. Dama (Asthma) ke ziyada tar patients ko raat ke waqt ya alalsubha yeh takleef hoti hai. Aam feham andaaz mein log ise saans ulatna kehte hain.
Dama (Asthma) ke asbaab mein bohat se awamil hote hain. Yeh aesi allergy ke natije mein ho sakta hai. Jo mausam ke natija mein peyda ho ya khane, medicines, khushbo aur deegar heejan angez awamil ka natija ho. Gardo ghubar se peyda hone wali allergy bohat aam aur sab ke ilm mein hai. Jo ghizaeyn amoman allergy peyda karti hain. In mein egg, gandum, doodh, chocolate, peas, fish aur behri ghizaeyn shamil hain. Yeh marz nafsiyati awamil ke natije mein bhi lahaq ho sakta hai. Aik haliya tehqeeq ke mutabiq asthma ke naujawan patients ka taqriban 25 % gehre adam tahaffuz ke ehsaas mein mubtila paya gaya hai. Wo parents ki tawajja, tahaffuz aur mohabbat ki shadid zarorat mehsoos karte the. Maurosi asraat bhi is marz ka sabab hote hain.
Asthma Ka Gharelu Ilaj (Asthma Home Treatment In Hindi)
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Honey (Shahad)
Dama (Asthma) ke home treatment mein shahad (honey) sab se ziyada maqbol aur qadeem hai. Kaha jata hai ke agar shahad (honey) ka aik jug Dama (asthma) ke patient ki nose ke niche is tarha rakha jaey ke hawa is se takra kar patient ke nostrils tak pohnche yani patient saans le to hawa shahad (honey) se takra kar aae to use batadreej saans lene mein aasani hone lagti hai, is ka asar jug hata lene ke bad bhi aik hour tak barqarar rehta hai. Aik ya 2 tea spoon shahad (honey) use kar lena bhi aafaqa deta hai. Ise milk ya pani ke aik cup mein shamil kar ke bhi liya ja sakta hai. Honey jama shuda balgham ko tehleel kar ke saans ki naliyon se kharij karne mein madad deta hai. Kuch tabeeb Dama (asthma) aur saans ki bemariyon ke liye 1 year purana honey shifa bakhsh samajhte hain.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Fig (Anjeer):
Fresh and dry fruits mein Anjeer (Fig) , Dama (asthma) ke marz mein mufeed sabit hoti hai. Yeh sputum ko kharij kar ke patient ko pur sukoon karti hai. 3 ya 4 dry fig garam pani ke sath khob saaf kar lijiye aur unhe raat bhar bhigoe rakhen. Subha unhe neharmou wohi pani peene ke baad kha liya jaey. Jis pani mein wo raat bhar bheegi rahi hon. Yeh ilaj 2 months tak jari rakha jaey.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Lemon :
Dama (Asthma) ke ilaj mein lemon bhi shifa bakhsh sabit hota hai. 1 lemon ka juice aik glass pani mein shamil kar ke khane ke sath peena acha nataiyj peyda karta hai.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Gooseberry :
Gooseberry Dama (asthma) ke ilaj mein karaamad nibatat mein se aik hai. 5 gram gooseberry ka safoof aur aik khane ka spoon honey mila kar asthma ke marz ka maussir ilaj bante hain. Ise daily subha khana chahiye. Fresh aamla ka mausam ho to ise istemal karen, warna khushk aamla ka safoof bana liya jaey.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Roots of Bitter Gourd :
Bitter gourd ke plants ki roots Dama (asthma) ke desi ilaj mein qadeem zamane se istemal ho rahi hain. 1 tea spoon roots ka paste aur itni miqdar mein honey ya tulsi ke patte daily raat ko aik month tak patient ko dene se marz ki shiddat batadreej kam ho jati hai.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Drumstick leaves :
Drum stick ya sejan ki phalli ka patton se tayyar karda shorba daily aik dafaa peena bhi asthma ke marz mein bohat mufeed hai. Tayyar karne ke liye muththi bhar patte 180 ml water mein 5 minute tak boil karen, thanda hone par is mein thora sa namak, mirch aur lemon juice shamil kar ke patient ko pilaya jata hai.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Ginger (Adrak):
Dama (Asthma) ke ilaj ke liye adrak ka juice (ginger ka juice) 1 tea spoon methi ka joshanda ke aik cup mein shamil kar ke zaiyqa behtar banane ke liye shahad (honey) daal sakte hain. Is mashroob ka istemal Dama (asthma) patient ke sputum kharij kar ke pur sukoon karta hai. Ginger key eh mashroob subha sham istemal kiya jata hai.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Garlic (Lehsun):
Dama (Asthma) ke ilaj ke liye garlic bhi maussar hai. Garlic ke 10 javey 30 ml milk mein boil karne se aesi umdah medicine tayyar hoti hai. Jo asthma ke ibtedai marhaley mein kamiyab ilaj sabit ho chuki hai. Yeh mashroob daily aik dafaa peena chahiye. Garlic ki tea mein ginger ke 2 javey kuchal kar shamil karne se aesi medicine banti hai jo Dama (asthma) ke marz ko qaboo mein rakhti hai. Yeh tea subha o sham peeni chahiye.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Carom Seeds:
Nibatati ilaj mein carom seeds ke liye akseer hai. Aik glass lassi mein half tea spoon carom seeds mila kar din mein 2 bar patient ko pilaey. Jin patient ke sputum ke ikhraaj mein mushkil pesh aati hai, us ke liye yeh nuskha bohat mujarrib hai. Yeh dry sputum ko tehleel kar ke kharij karti hai. Carom seeds ka garam plats chest pe senk karne ke liye istemal karen. Din mein 2 baar yeh senk karne ke sath sath carom seeds mile pani ko boil kar ke aur us ki steam patient ke saans mein shamil karen to us se saans ki naliyan kushada ho jati hain.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Casaba Seeds :
Casaba seeds ko Punjab mein poliyan kehte hain. Yeh asthma ke ilaj mein mufeed hai. Is ke dry seeds ka half spoon safoof, 1 table spoon honey mila kar daily aik ya 2 dafaa zaroor khilaey. Yeh sputum reshe ko tehleel kar ke kharij karta hai aur saans lena aasaan banata hai. Casaba ke 5 gram flowers ko 1 table spoon honey mila kar daily aik dafaa khilana patient ko sehatmand banata hai.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Alsi Seeds :
Alsi ke seeds ka joshanda Dama (asthma) ke balghami ijtema ki tashkeel ko rokta aur Dama asthma attacks se bachata hai. 1 tea spoon alsi ke seeds ka safoof aur aik piece palm candy 2 cup pani mein us waqt tak boil karen key eh mixture half reh jaey. Yeh joshanda khane ka aik chamcha milk ke sath daily liya jaey. Is se chest mein sputum ka ijtema tehleel ho jata hai. Is ilaj ke sath Dama (asthma) ke attacks ke dauran alsi ka plats chest par lagaya jaey.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Mustard Oil (Rai Ka Tail):
Dama (Asthma) attacks ke dauran mustard oil thore se kafoor ko mila kar patient ke chest aur pusht par massage kiya jaey. Is se balgham tehleel ho jaega aur saans lena aasaan ho ga.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Copper (Tamba):
Dama (Asthma) attacks ko rokne ka aik tariqa copper ke bartan mein raat bhar parhe rehne wale pani ko peena hai. Is pani mein copper ke khafeef zarrat shamil ho jate hain. Jo saans ke masaiyl peyda hone se rokte hain.
Dama Asthma Ka ilaj in urdu Ghizaai Tarjihaat :
Patient ko ghalat ghizaai aadaton se bachna chahiye. Is ke liye mauzoo tareen ghizaey mehdood miqdar mein carbohydrates, fats aur protein par mushtamil honi chahiye, jo acidity peyda karne wali hon. Wafir miqdar mein alkali peyda karne wali ghizaeyn maslan fresh fruits, vegetables, sabz tarkariyan aur anaaj istemal mein laey. Ise sputum peyda karne wali ghizaon se behar taur bachna chahiye. Jin mein rice, sugar, peas aur yogurt etc shamil hain. Ise fried aur dair se hazam hone wali ghizaon, strong coffee, tea, alcohol drinks, pickle, sauces aur process kiye hue khano se bhi parhez karna chahiye.
Other Efforts ( Deegar Iqdamaat) :
Patient ko deegar qawaneen fitrat par amal karna chahiye. Air, sunshine, aur water shifa bakhsh awamil hote hain. In se durust tariqa se istefada karna chahiye, week mein aik din baqaiydgi se roza rakhna chahiye. Kabhi kabhar anima lena chahiye. Saans ki exercise zarori hai. Fresh air, dry climate, light exercise aur true posture is marz ke ilaj mein pori tarha sath dete hain.