Nazla,Kera,Zukam Aur Band Nak KaY Desi Totkay
Zara see thund aai aur Nazla,Kera,Zukam Aur Band Nak ki disease aam ho jati hy is k wasty common home remedie.
Nazla,Kera,Zukam Aur Band Nak ki ibtadai alamaat mein galey ki kharash aur naak ki naliyon mein balghami ijtema hai. Agracha marz aam taur par naak aur galey mein shuru hota hai., lekin yeh jism ke tamam hisson ko mutassir karta hai,. is ki amomi alamat mein behti hui naak, cheenken, bukhar, sir dard, gale mein dukhan, .sardi ka ehsaas, jism mein dard aur bhook ka ghayab hona hai. Nathno ke gird jild dukhne lagti hai.
Nazle zukam ka sabab virus ki zad mein aata hai. Tahum is ki shiddat mutasir fard ki amomi sehat aur mahaulyati awamil par munhasir hoti hai. Jismani kamzori,. thand lag jana, neend ki kami, zehni dabao, thakawat., mahaul ke darja e hararat mein achanak tabdeeli,. gardho gubhar, kharash peyda karne wali fiza mein saans lena wagherz, .is marz ke asbaab mein numayan hain.