Wazan Kam Karne ( Weight Loss) Kay 8 Asan Tareeky
Aaj kay dor mein motapa na sirf wabal banta jaraha hai balkeh jism kay pur kashish nahi rehtay aur aap ki shakhsiyat jazib e nazar bannay ki bajaye mazah ka nishanah ban jati hai.
-
Mithayi(Sweets), ice cream ka chaska bhi aap ko mota kar sakta hai.High blood pressure ki surat mein aap 10% tak blood pressure ko control kar lete hain to aap ki kayi bimaaryon say nijat hasil kar saktay hain.Nampak(salt) ka istemaal kam kia jaye.Cake aur chips bhi istemaal na karein.Fruit, vegetable aur dalein khayein.
Aap ko chahiye keh aik chart banayein aur is mein har roz baqaidgi say apna wazan (weight) likhein is kay elawah din bhar jo khati hain woh likhti jayein.Kisi friends ko khorak kay zariye aap say muhabbat zahir karnay ki ijazat na dein.Wazan(weight) karnay ki machine sarhanay kay pas rakye takeh is ko roz deikh sakein.Apnay wazan kay hadaf ko ahistah ahishtah tabdeel karein.Maslan 40 ponds ghatana ho to pehlay 10 pond hadaf baniye aur aahistah aahistah is mein izafah karti jayein.Rozanah 8 once walay 8 glass sadah pani pijye.Jab aap pareshan ho to khanay ki bajaye warzish ya garam bath lijye yani garam pani say naha lijye takeh aap relax kar sakein.Calories ka har waqt dheyan rakhye har khanay wali cheez mein chini ki moqdar par hameshah dheyan rakhaien.Banjh pan say bachnay kay liye motapa control karein motapay ki surat mein aurat maan bannay say bhi mehroom ho jati hai is liye is kay liye apnay wazan (weight) ko control karna hota hai kiun keh mashrqi muashray mein aulaad na honay par shadi kay bandhan toot jatay hain
Fish aur chicken ka gosht khaya kijye.Wazan barhanay aur ghatanay mein waqt darker hai lehaza sabar o tahmmul say kan lein.Jab dieting ka iradah karein to koshish ka lafz istemaal karnay ki bajaye mein zaroor karungi par amal karein.Khanay mein waqt ki pabandi kijye. Rozanah waqt par khana lijye. Yeh nahi keh nashtah chor dein lunch bhi nah karein aur phir raat ko sari kasar poori kar dein.Cafeen walay mashroob say ijtenab kijye.Parti mein janay say pehlay aaram karein aur khana hameshah aahishtah aahistah khaye. Kam az kam 20 minute mein khana khatam kijye.Namkeen (salty) khanay ziadah mat khayein kiun keh yeh ziadh moqdar mein kha liye jatay hain.Aisay khanon say par haiz karein jin kay sath ketchup waghairah khana parein kiun keh mukhtalif qisam ki ketchup mein makhan , namak chini, maidah waghairah shamil kia hota hia jis ki wajah say in mein ziadh calories payi jati hain.Jab aap ko bhook lagi ho to aisi jagah mat jayein jahan khanay pinay ki cheezein farokht ho rahi hon.Motay hazrat ko baqaidgi say apna moyainah karana chahiye kiun keh mota pa banjh pan say bhi do char kar sakta hai. Rozanah 45 say 60 minute tak tezi say chehal qadmi mota pay say nijat ka bais ban sakti hai.In tamam ahum baton kay sath warzish na sirf aap ko wazan (weight) ko kam karay gi balkeh blood pressure ko bhi control kar sakti hai.
jaldi wazan kam karne ka tarika in urdu,wazan kam karne ka tarika by zubaida tariq,wazan kam karne ka tarika noor clinic,wazan kam karne ki exercise,wazan kam karne ka tarika urdu main,wazan kam karne ki dua,wazan kam karne ke gharelu nuskhe,wazan kam karne ka totka in urdu