Ala e Tanasul (penis) Kay Size Problem ka Elaj
Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin. Kisi ka zakar bara aur kisi ka chota. Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta’alluq nahin. Iss silsiley mein Americamein ek survey hua to ma’aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha.
Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar kay hawaley sey sirf ghalat fehmi hoti hai kay woh chota hai hala’n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain.