Almond Benefits Urdu Badam Ke Fawaid By Hakeem imran Kamboh.
Badam (Almond) ka shumar quwat bakhsh or ghizayat se bharpoor khushk mewa jat mein hota hai. Is ka istamal constipation, respiratory system ki kharabiyo, dimaghi kamzoriyo, amraz-e-qalb, khoon ki kami or diabetes mein faida pohanchata hai. Ye skin, hiar or teeth ki sehat ke liye bhi mufeed hai. Ye Calcium, Vitamin E, Iron, Phosphorus or Magnesium se bharpoor hota hai.
Badam khane se insani body ko khatarnak beemario se bachao mein madad milti hai.
America ki Chicago University mein ki gai 1 research ke mutabiq rozana 42 gram badam khane pet or tango ki charbi tezi se kam hoti hai or metabolic syndrome se nijat milti hai.
Metabolic syndrome diabetes, high blood pressure, motapay or dil ki beemari ka bai’s banta hai, yani badam hamein in tamam khatarnak beemario se tahaffuz faraham kartay hein.
Badam mein calcium afrat se hota hai, jo bones ki sehat ke liye zaroori hai, ye iron se bhi bharpoor hota hai jo hemoglobin ki tarkeeb mein madadgar hota hai, isay anaemia ke ilaj mein mufeed banata hai.
Badam vitamin E ka 1 zariya hai, ye acidity dafa karta hai or amraz e qalb ka khatra kam karta hai, cancer or motia bind (Cataract) ke khatray mein kami karta hai. Is mein wahid murtakiz charbi hoti hai, jo qalb se marboot sharyano ke amraz mein faida mand hai. Sath hi sath LDL cholesterol level kam karta hai.
Badam maghziyat ka badshah hai, dimaghi quwat or basarat ke liye akseer be nazeer hai, badan ko farba karta hai.
Badamo mein jismani nasho numa ke liye zaroori protein paye jatay hein.
Badam khane ya ghot kar peene se dimaghi kamzori door hoti hai, aezaye raeesa ko taqat deta hai.