Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby Karne K Totkay
Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby karna Ab koi problem nahin.here we tell u very easy home remedie.
Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby karny ky desi totky
Khwateen ke hawale se hamesha in ke balon (hair) ka tazkara lazemo malzom samjha jata hai. Ghany, chamakdar aur khubsurat baal hamesha khubsurati main izafe ka bais samjha jata hai. Baal lamby hon ya choty lakin yeh osi waqt achy lagty hain jb in pe tawaju aur time deya jae. Tu leejeye hum apke liye balon ki khoobsurti aur mazbooti k liye chand aham homemade tips jo ke Urdu / Hindi main hain le kar hazir hain.
Beauty Tips for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Tail ka istemal:Tail balon ke lye buhat lazimi hai. Hafty main ak do bar tail lagana buhat mufeed hai aghar apko tail nahi pasand tau ap rat ko siy laga ke so jae aur subha uth ke balon ko dho lyn.
Tail ki eqsam:Ap apny balon ke lye zetoon aur narial main se koe ak muntakhib kar sakti hain. Aam tor pe zetoon khushk balon, narial aur sarson ka tail chikny balon ke lye mufeed samjha jata hai.
Balon ka massage:Balon main tail laga ke ungleo ke sero se balo ka massage kary. Massage halky hatho se kary. Kanpateo pe sar ke darmiani hisy aur peeshy ki janib marhalawar massage kary. Kanpateo ke oper ki janib se bal ugny ka amal shoro hota hai is lye yahan ka massage buhat zaroori hai.
Balon ko oil lagany ka dorania:Kuch khawateen balo main zaroorat se zeyada tail laga leti hain. Jo in ke kapro aur takeo ko lag jata hai. Kabhi bhe itna tail na lagae keu ke ap ke sar ki jild ak khas had tak he tail jazab kar sakti hai. Tail lagany ka dorania zeyada se zeyada 2 ghanto se le ke rat bhar tak ho sakta hai is se zeyada dair ke lye tail kabhi na lagae. Keun ke zeyada dair tail lagany se oxygen balo ki jild tak nahi pohanchti jis ki wajah se bal toty aur gerty hain. Beshak ap rozana tail lagae lakin sirf do ghanty ya pher rat bher lagae aur subha dho lyn.
Kangi karna:Balo main gangi karna buhat acha hota hai. Is se sar ka durane khun taiz ho jata hai. Din main teen ya chaar bar gangi zaroor kary. Lakri ki gangi ka istemal zeyada acha hota hai. Toty danu wali gangi kabhi istemal na kary aur gely balo main gangi her ge zna kary keun ke is se bal zeyada totoy aur kamzoor hoty hain.
Sar ki khushki dor karny ke lye totka:Dahi main thora sa sarsu ka tail mila ke sar dhony se adha ghenta pahly laga lyn aur adhy ghanty bad sar dho lyn yeh amal hafty main ak bar zaroor kary.
Balo ko ghana banany ke lye tarika:Taza narial se nikalny wala kacha pani ehteyat se kisi botal main mahfooz kar lyn. Aur rozana subha uthny ke bad ahista ahista lagae. Bal chand dinu main girna band ho jae gay aur mazboot aur sehat mand ho jae gay.
Bal lamby aur naram karny ke lye:Ak andy ki zardi main do chamach mila lyn aur khub phenty is ke baad balo ki jaro main ungleo ki phuru se achi tarah lagae. Yeh amal sar dhony se pahly teen ghanty pahly kagae.
Bal girne kam karne k liye nuskha:Sar ki khopri per lehsan, peyaz ya sirke ka rass malaen. Iss baat ka kheyal rakhen k inn main se koi 1 cheez istemal karen, 2 ko mix na karen. Raat bhar sarr par lagaen aur subah uth ka achi tarah dho lain.
Aloe Vera ka istemal for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Aloe vera (kawar gandal) na sirf jild yani skin k liye nahayat mofeed hai, iske balo k liye bhi bohat se faiday hain. Ye na sirf balon ko ghanay, lambay, mazboot aur shiny karne main madad deta hai balke balon ki amoomi sehet aur sar ki khushki kam karne k liye bhi bohat acha hai.
Exercise aur relaxation balon k liye totka:
Stress yani zehni pareshani balon k liye nuqsan de hai. Halki exercise , taza hawa main walk aur lambay sans lena aur pur-skooon neend stress ko kam karte hain aur balon k liye mofeed hain.
Baalon k liye ghezaa:
Balo ki hifazat behad zaroori hai. Jis tarah insane jism ko sehad mand aur khashash aur bashash rahny ke lye achi ghaza ki zaroorat hoti hai bilkul isi tar balo ko bhi achi gheza aur khayal ki zaroorat hoti hai. Dhoodh, dehi, chicken, daal, anday, machli, palak, gobhi waghaira blong k liye mofeed ghazaen hain. Neez gajar, chakandar, grape furit ka juice bhi balon ko mazboot, lamba aur ghana karta hai.
Issi tarah rangoli henna bhi girte balon k liye aik azmood haircare tip hai. Neez sab chaye bhi girte balon yani falling hair ke liye mofeed hai. 2 sab chay ke bag pani main ubalain. Jab pani thanda ho jay tu sar par lagaen aur 1 ghante baad sar achi tarah dho lain.Amla
Hair Care Tips mai prakritik amla bahut hi faydemand hota hai. Amla khane aur lagane, dono mai gunkari hota hai. Amla ke juice ko saptah mai lagane se hair chamakdar, kaale aur majboot bante hai.
Mehandi for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Mehandi hair ke liye natural conditioner ki tarah hai. Hair care mai mehandi ka pack lagane se hair majboot, long aur ghane bante hai. Ek cup mehandi powder mai aadha cup dahi ko acche se milakar, ise karib 2 ghante ke liye chhod de. Iske baad iss pack ko apne hair ke jado mai lagaye. Jab yeh puri tarah sukh jaye to ise dho lewe.
Aloe Vera aur Shahad for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Twacha ke saath-saath hair care mai aloe vera aur shahad bahut hi faydemand hai. Aloe vera aur shahad hair ke dandruff se chutkara dilate hai. Hair ke jado par aloe vera aur shahad ko barabar matra mai lagaye. Isse lagakar 30 minute ke liye chhod de aur fir thande pani se dho lewe.
You may also like: Hair Spa at Home – Adore Your Velvety Soft Hair
Egg for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Hair tips mai egg ka bhi aham role hota hai. Egg hair ko jhadne se bachata hai aur hair ko ghana, majboot banata hai. Egg mai aap thoda sa jaitun ka tel milakar egg ki safedi aur shahad ko apas mai acche se mila le. Ab ise saman roop se sar par lagakar ek ghante ke liye chhod de. Iske baad isse thande pani aur shampoo se dho lewe.
Aaloo ka Ras for Baal Ghany,Mazboot Aur Lamby
Hair tip mai aaloo ke jariye bhi hair ko long, majbut aur ghana bana sakte hai, halaki iski jankari logo ko bahut kam hoti hai. Nahane se pahle hair ke jado mai aaloo ka ras lagaye aur 15 minute baad dho lewe. Aaloo mai paya jane wala vitamin aapke hair ko long banane mai madad karta hai.