Chahre K Daag Dhabe Dur Kerny Kay Totky
Face kay daagh dhabey face ki beauty ko chupa dete hein. Chahre K Daag Dhabe Dur Kerny Kay Totky.
Is liye her koi, khas kr larkiyan apne chehrey k daagh dhabey dur krna chahti hein. Boht se larkiyan is kam k liye artificial creams istimal krti hein. Kbi kbi ye creams chehrey k dagh dur kr deti hein lekin aksar in k kuch side k asraat bhi hotey hein. Aur phir ye bhi hota hai k jese he ye creams istimal krna bnd kren,
Kon nahi chahta hai ki uski twacha daag-dhabbe rahit ho. Agar twacha saaf-suthri hai to, andar se aapke mann mai atmavishvaas jagega. Ladke ho chahe ladkiya, har kisi ko muhase hote hai, jo chehre par nishan chhod jate hai.
Agar aapke chehre par bhi aise hi daag ho gaye to hai to apnaiye humare Gharelu Nuskhe, jinki madad se aap apni khoi hui rangat wapas paa sakte hai.
Inn nuskho ko lagatar lagaye, jisse chehre ka rang bhi saaf ho aur twacha mulayam aur komal bane. Aapki twacha me adhik nikhar lane ke liye dekhiye. To apply kijiye apni body par inn effective nuskho ko aur dekhiye turant asar aapke chehre par.
Chahre K Daag Dhabe Dur Kerny Kay Totky
Honey
Shahad se skin acchi ban jati hai. Yeh skin ko andar se heal karti hai. Twacha par pade daag-dhabbe ko yeh hata kar use saaf karti hai.
Lemon
Yeh ek prakritik bleach hai jo twacha se daag dhabbo ko hatata hai. Ise roz chehre par lagaye lekin agar chehre par ise lagate hi khujali shuru ho jaye, to isme thoda sa pani mila le. Nimbu ka ras ko face pack mai bhi milaya ja sakta hai.
Milk
Dudh mai lactic acid hota hai, jo ki twacha ke daag dhabbe hatane mai madad karta hai. Ise lagane se twacha komal bhi banti hai.
Vitamin E
Yeh skin ke liye bahut hi acchi hoti hai. Yeh ek anti oxidant hai jo sharir se toxin ko nikalti hai. Ise lagane se twacha fresh aur jaandar ho jati hai. Vitamin E ke capsule ko raat mai twacha par lagaye. Aap chahe to Vitamin E tablet bhi kha sakti hai.
Haldi
Rozana haldi lagane se daag dur hota hai. Isme moujud anti bacterial tatva muhase hone se rokta hai.
Kawar Gandal ka gooda yani Aloevera Gel
Iss gel ko lagane se chehre par pade gehre chakkte dhire-dhire halke padne lagte hai aur inse muhase bhi thik ho jate hai.