Diabetes Treatment In Urdu And hindi Sugar Ya Diabetes Ka Desi Ilaj
Sugar (Diabetes) aik famous marz hai. Is mein urine bar bar ata hai. Piyas ziyada lagti hai aur urine ka moaaiyna(urine test) karwaya jaye to us mein Sugar payi jati hai. Sugar ( Diabetes ) ke ilaj ka daromadar jis qadar ghizaon par hai, dawaon par nahi. Kaisi he mufeed o mujarrib dawa istemal ki jaye lekin munasib ghizaon ka istemal na ho to un dawaon (medicine) ka istemal bekaar hai. Is soorat mein jis qadar kamyabi ke sath ghizaon se ilaj kiya ja sakta hai, medicine se mumkin nahi. Agar naujawan aadmi bhi is qisam ki ghizaey istemal kar ke apni quwwat ko barhana chahta hai to un ke liye bhi munasib hai. Lekin shart yeh hai ke hazam qawi ho aur qabz ki bhi shikayat na rehti ho.
Sugar (diabetes) ke marz mein chonke khoon (blood) ke andar aesi chemically changing hoti hai jis ki wajah se is mein sugar ki miqdar barh jati hai ya urine ke sath kharij hone lagti hai. Lehaza is marz se chutkara pane ke liye aesi ghizaeyn istemal karni chahiye jin mein sugar ke ajzaa ne hon. Chon ke neshasta hamare jism mein pohanchne aur kuch chemically changing ke baad sugar (diabetes) ban jata hai. Lehaza nashastadaar chezon ke istemal se qattai parhez rakhna chahiye. Garz ke marz diabetes ke liye behtreen ghizaeyn wo hain, jo sugar, nashasta dono chezon se khali hon. Isi liye heywani ghizaeyn is marz mein ziyada munasib hain.