Sufaid Till (sesame seeds) Kay Faiday in Urdu
Qutrat ki choti se ye khubru nemat aaj ke khasta asab aue shikast o rekht ke amal ke shikar insane ke leye khusosi tohfa hai. Khusosan wo log jo zehni dabao aur isabi tanao ke bais depration ka shikar hain, unhen qudrat ki ata kardah nemat se mosame sarma mein bharpur istefada karna chaheye. Tib e mashriki mein Til (sesame seed) aur is ka tail (Oil) sadyon se mustamil hai. Mosam e sarma mein amoman bachon ko bakastat peshab ki shikayat ho jati hai, baz bache raat ko bistar par peshab kar dete hain in ko adhi chamchi rozana talon ka isteaml is marz se nijat delata hai. Is tarah umar rasedah log bhi shadat e sardi ke bais mosam e sarma mein bar bar peshab ke arze mein mubtala ho jate hain, ese logon ke leye talon ke lado bohat mufedsabit hote hain, kyun ke umar rasidah logon ko esa asabi kamzori ke bais ho jata hai aur til (sesame seed) asab ko taqat bakhshte hain.
Til (sesame seed) ko pani mein pes kar chan kar istemal karain mede ki jalan mein bohat mufed hai is se mede ki turshi khatam hoti hai.Halke bhone howe tilon (sesame seed) ko sabz dhaniye(green coriander), podene (mint), sabz mirch (green chili), lehsan (garlic) aur bhone howe safed zere aur namak (salt) ke sath pes kar lemo (lemon) ka ras milaein, nehayat lazez aur taqwiyat bakhash chatni taiyar ho jati hai jo bajra, makai, gandom ya chane ki roti ke sath maza deti hai.. Tilon (sesame seeds) ka istemal phepron aur khansi mein mufed hai.Tilon (sesame seeds) ka istemal rangat ko nikharta hai aur kharish k odor karta hai..Tilon (sesame seeds) ka istemal jism ko mota karta hai.Tehqiq jaded ke mutabiq Tilon (sesame seed) mein mujod vitamins aur proteins .donon ajza zodhazim hain jin ke koi muzir asrat nahi, goya Tilon (sesame seed) ko gosht ka nameul badal qarar deya ja sakta hai.Til (sesame seed) ke pode ke patte aur phol bhi bohat mufed hote hain. Tilon (sesame seed) ke patton kobalon ki mazboti uar darazi ke leye istemal kiya jata hai. Is ka tariqa e kar ye haiTazah patte le kar kot kar ras nikalein aur balon (hair) ki jaron mein mal liya karein. Ye amal balon (hair) ki seyahi ko asrse tak qaim rakhta hai.Til (sesame seeds) insane ko zehni aur jismani donon itebar se sehat mand rakhta hai.Til (sesame seeds) har umar ke fard ke liye yaksan mufed hai Til (sesame seeds) mein ese kimiyai murakab bhi hote hain jo cancer ki rok tham mein mufed hain. Tilon (sesame seeds) se hasil kardah tail tib e mashriqi ki bohat si adwiya ka juz hai. Humare han jot eel malish ke leye mustamil hain in mein Tilon (sesame seed) ka tail jise metha tail bhi khete hain khososi juz hai.France mein Tilon (sesame seed) se taqviyat ka aik tonic taiyar kiya jata hai.Wo log jo demaghi kaam karte hai aur ghambir masail ke sabab shaded zehni dabao aur asabi tanao ka shikar rehte hain un ke leye Tilon (sesame seed) ka istemal bohat mufed hai.Tilon (sesame seeds) ka istemal har umar ke afrad yaksan kar sakte hain.Maghziyat ka istemal namalom tarikh se ho raha hai. Zindagi ke ibtedai dor mein ye bohat istemal hote the, lekin ab kam hone laga hai, ab jaded tehqiq ke bad in ka mosam e sarma mein istemal bator qowat bakhsh ghiza barh gaya hai. Til (sesame seed) zod hazim hain in mein lehmiyat bohat ziyadah hote hain, itne kisi sabzi mein bhi nahi hote. Nabatati ilaj ke almi mahir doctor kelog ka kehna hai ke tamam nabatati ghizaon mein umdah protein maghziyat ke indar hoti hain. Ye hewanat ke gosht se bhi ziyadah taqat bakhsh hai.Mosam e sarma mein maghziyat jin mein till bhi shamil hain, istemal aik tonic ka
darja rakhta hai, khososan talba aur dimaghi kaam karne wale ese zaror istemal karein, is se hafza behtar hota hai, khoon ki kami jati rehti hai aur asab ko taqviyat milti hai.Wo log jinhein buland fishar e khoon (high blood pressure) ka arza ho, maghziyat ke itemal mein ehtiyat karein wese bhi har shy ke istemal mein etedal hi ki rah munasib hai aur yehi rah fitrat hai. Edam tawazun hi amraz peda karta hai.